Manzile bhi teri thi aur raste bhi tera tha,Ek tera pyaar paa lu bas yahi sapna mera tha,
Mere sath rehne ki kasam bhi teri thi,
Fir akela chhod jane ka khayal bhi tera tha,
Haatho mein hath lekar mujhe hasane ki soch bhi teri thi,
Meri aankhon mein aansu dene ka silsila bhi tera tha,
Mein kyu yaha tanha reh gaya...???????
Mera dil sawaal karta hai kismat to teri thi,
Par kya khuda bhi tera tha....??????
KHUDA BOLA.....
Use jaan banane ki galti bhi teri thi,
Us par yakeen karne ka khayal bhi tera tha,
Use kyu gham hoga tere jane ka..??
Sacha pyar uska nahi.
Sacha pyar to sirf tera tha.....
No comments:
Post a Comment